Jaate jaate woh mujhe achi nishani de gaya
Umar bhar doharaunga aisi kahani de gaya
Us se main kuch pa sakun aisi kahan umid thi
Gham bhi vo shayad bara-e-meharabani de gaya
Sab havayen le gaya mere samandar ki koi
Aur mujh ko ek kashti badabani de gaya
Khair main piyasaa raha par us ne itna to kiya
meri palakon ke kataron ko vo pani de gaya