jataaya bhi nahin...

**pyaas woh dil Ki bhujaane Kabhi aaya bhi nahin
Kaisa baadal hai jisKaa koi saaya bhi nahiN

be ruKhi iss se bari aur bhalaa Kia hogi
iK muddat se usNe humain sataaya bhi nahiN

roz aata hai wo dar-e-dil peh dastak dene
aj taK jisse humNe paas bulaaya bhi nahiN

sun liyaa kaise Khudaa jaaNe zamaane bhar ne
woh faasaaNa jo kabhi humne sunaaya bhi nahiN

tum to shaayar ho qateel aur woh iK aam sa sakhs
uss ne chaaha bhi tujhe aur jataaya bhi nahiN**

wah zabardast !sharara sharara main hoon aik sharara;)

Re: jataaya bhi nahin…

great yara :k:

very nice :)

**
qurbaaN hoN jis k husn pe sau jannateN 'Qateel'
nazaroN k saamane vo nazaaraa hai in dinoN

**

beautiful:k::k: