Jaon tu kahan..karon tu kiya!!!

Saamne Manzil Thi Aur Peeche Uss Ki Aawaaz
Rukta Toh Safar Jaata, Chalta To Bichhar Jaata,

Mekhana Bhi Ussi Ka Tha, Mehkaar Bhi Ussi Ka Tha,
Agar Peeta To Imaan Jata, Na Peeta To Sanam Jaata,

Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par,
Chhupata To Jigar Jaata, Sunata To Bikhar Jaata,

Mere Gham Ki Dawa Na Thi Siwaye Yaar Ke Koochay Ke
Main Jaun To Kidhar Jaun, Main Jata To Kidhar Jata

Re: Jaon tu kahan..karon tu kiya!!!

nice :k:

Saamne Manzil Thi Aur Peeche Uss Ki Aawaaz
Rukta Toh Safar Jaata, Chalta To Bichhar Jaata,

ye to boht bada dilemma lagta hai.

Re: Jaon tu kahan..karon tu kiya!!!

bohat gehra shaier hai yeh…parh k kiya kia na bana dala…

Re: Jaon tu kahan..karon tu kiya!!!

waise title padh kar mujhe Zakoota jin yaad aa gaya. pata nahin kiyun? :confused:

Re: Jaon tu kahan..karon tu kiya!!!

Jee

Re: Jaon tu kahan..karon tu kiya!!!

Jee??? kiya jee?