Re: Jangal Jangal Shaam (Ghazal)
Amal, GS, Azad & Fara
Adaab
Bohat bohat shukria ghazal / ashaar pasand karany ka. Is pazeerai ke liay main aap ka tah-e-dil se mashkoor hoon.
Fara dear,
Mayoosi ka rang ghazal main ham hi log samotay hain, aur mayoosi bhi insani kefiaat main se aik hay, aur in kefiaat se guzar ker is tarah ke asshaar ho hi jaatay hain, wesay agar aap dekhain to aap ko aur kefiaat bhi ghazal main numaayaan nazar aain gee. Ghazal pasand farmanay ka shukria.
Mukhlis,
Muhammad Ahmed.