**Kabhi Kaha Na Kisi Say Teray Fasaney ko
Na Janey Kaisey Khabar Hogaye Zamaney Ko
Chaman Mein Barq Nahin Chorti Kisi Suurat
Tarah Say Say Banata Hoon Ashiyanne Ko
Suna Hai Ghair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaogey
Kaho Tou Aaj Saja Loon Ghareeb Khaney Ko
Dua Bahaar Ki Maangi Tou Itney Phool Khiley
Kahin Jagah Na Mili Meray Aashiyanne Ko
Meri Lahad Pay Patangoon Ka Khuun Hota Hai
Huzuur Shammaa Na Laayaa Karein Jalaane ko
Dabaa Kay Chal Diya Sab Qabr Mein Dua Na Salaam
Zra Si Dair Mein Kyaa Ho Gayaa Zamaane Ko
Ab Aage Is Mein Tumhara Bhi Naam Aayega
Jo Hukn Ho Tou Yahin Chorr Doon Fasaney Ko
‘Qamar’ Zra Bhi Nahin Tujhko Khauf-e-Rusvaii
Chale Ho Chandni Shab Mein Unhey Mananey Ko **