jane wo kaise

Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila

Khusioyonki manzil dhoondi to gham ki gard mili
Khusioyonki manzil dhoondi to gham ki gard mili
chahat ke nagme chahe to, aahen shard mili
dil ke bojh ko doona kar gaya, jo gam saar mila
Humne to jab…

Bichhad Gayaa… Bichhad Gayaa…
Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath
Kisko Phursat Hai Jo Thaame Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila

Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge
Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila
Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila

Re: jane wo kaise

hayeN? yeh to ek mash’hoor Bollywood song hai jise legendary Hemant Kumar ne gaayaa thaa. yeh rahaa vo gaanaa:

Re: jane wo kaise

^ji guess that's the original.