**Jane walon se palat kar naheen aya jata
Raasta kis liye pholoon se sajaya jata
Gard, Shab aur Hawa teen`on ki yeh sazish thi
Yeh deya jal k na bujhta toh bujhaya jata
Gair se chaaoun talab karne se bahter kaheen
Apne aanghan main koi pair ugaya jata
Ham musafir they jo chalte bhi toh paoun jalte
Sar k suraj ko agar sar se giraya jata
Ab k mosam main bohot dhuop utar aa`e
Barf k pholoon se kia haar banaya jata…??**