*Raat ka galiban aakhiri thaa pehar
Mujh se tanha sitaara yun goya huwa
Hamnasheen .... ' Alvida '
Ay mere hamnasheen
Mujh ko neend aagaee
Tum bhi sojao ja kar kaheen
Kal milenge yaheen
Yeh sun kar mein halka sa muska diya
Us ko batla diya
Janay walay yahaan laut'tay hi nahe
Tum na aogay kal
Mujh ko hai yeh yaqeen
Meri yeh baat sun kar woh ruk sa gaya
Aur kehne laga
Tum se wada karoon
Phir na poora karoon
Aisa mumkin nahee
Sun mere hamnasheen
Mein insaan tu nahee ...*
Beautiful
Janay walay yahan laut-tay nahi ![]()
Janay walay yahaan laut’tay hi nahe
nice choice…![]()