Dania
1
Runj kitna bhi karain un ka zamanay walay
Janay walay to nahein laut kar aanay walay
Kitni bayfaiz se reh jati hai dil ke basti
Kitnay chupchaap chalay jatay hein janay walay
Aik pal cheen kar insaan ko lay jata hai
Peechay reh jatay hein sab saath nibhanay walay
Log kehtay hein keh tu door ufak paar gaya
Kya kahoon aay meray dil mein utar aanay walay
Janay walay teray markadam pay kharra sochta hon
Khawab he ho gay tabeer batanay walay
Her naya zakhm kisee aur kay seenay ka shaurr
Chair dayta hai meray zakhm puranay walay
Dilsay
2
Very nice and thanks for sharing....
that put me to tears
bohut acchi!
Amal
6
Re: Janay walay to nahein laut kar aanay walay
That’s beautiful Dania_2000:k:…thanx for sharing:)
excellent:k::k::k:
thanks for sharing:~(