Janay Kiyon Log Meray Naam Say Jal Jatay Hain

Germi-e-hasarat-e-naakaam say jal jaate hain
ham charaaghoon ki tarah shaam say jal jaatay hain

Bach nikaltay hain agar aatish-e-sayyaad say ham
sholaa-e-aatish-e-gulfaam say jal jaatay hain

Khud numaei to nahin shevaa-e-arabaab-e-wafa
jin ko jalanaa ho woh aaraaam say jal jaatay hain

Shama jis aag main jalti hai numaish kay leay
ham usi aag main gumnaam say jal jaatay hain

Jab bhi aata hai meraa naam teray naam kay saath
jaane kyon log meray naam say jal jaatay hain

Rabta baaham pay hamain kiya na kahen gay dushman
aashanaa jab tere paygham(message) say jal jaatay hain

Qateel Shifai

:flower2: