Janay kitni musafaton ka thaka haara

Aaj tu jee bhar kay pyaar karnay day
Kal ka suraj na tu ubharnay day …
Janay kitni musafaton ka thaka haara
Teri bahon main gira hay aram karnay day

Adab Arz
(Azad)

Teri bahon main gira hay aram karnay day

beautiful.... kiya baat hai

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Teri bahon main gira hay aram karnay day

beautiful.... kiya baat hai
[/QUOTE]

humm

nice one azad sb...

lagta hay dil walay aap do hi ho

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
lagta hay dil walay aap do hi ho
[/QUOTE]

theek kaha Azad jee lag ta hai kisi aur ko ya maqam mila he nahi.... ;)

Kalay hain par kia howa dil walay hain :D

humm kash aaj weekend hota to raj kay nachtay peetay pilatay hum, yaar dilsay yeh indian larki bhi acha nach layti hay ... kia howa dil walay hain ...
hay weekend ab to aajao.. Jhoom kay,
lab raseelay pao choom kay .. ab to aajao jhoom kay ... -p
behodGi ki bhi hud hoti hay .. kaam itna ziyada kiyon hay :(

Re: Janay kitni musafaton ka thaka haara

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Aaj tu jee bhar kay pyaar karnay day
Kal ka suraj na tu ubharnay day .......
Janay kitni musafaton ka thaka haara
Teri bahon main gira hay aram karnay day

Adab Arz
(Azad)
[/QUOTE]

**Azad Gi...

Arz Kia Hay

Kal kay sooraj ki fikr ko chorro
Abhi jee Bhar je karlo pyar ussay
Jaanay Phir Kab ye Mooqqa Haath aaye
Uss ke abbaa ne aaj aana hay :D
(GS)

Adab Arz**

humm aap ki halat daikh kar afsoos ho raha hay .. lagta hay uss kay abba huzoor say kafi kutt lagwa kar aa rahay ho aap.... humrai baat chorrain jee hum to ttehray Azad ... hum nay larki daikhnay se pehlay hi un kay abba huzoor ka pochta oor mashallah say woh gham e seet say Azad hain :D

Dunia jay tail laynay aish tu kar yaara aish tu kar
tu = Azad ;)