Jan dainay ka phir farz ada---

BAy min-nat o ahsan ata kon karay ga
Aik taray siwa meray khuda kon karay ga

sub jan bachanay ki agar fikar karain gay
jan dainay ka phir farz ada kon karay ga

aik bab raqam karna hay sheh-rag kay lahoo say
ye kam bata meray siwa kon keray ga

jub fikr meri meray massiha ko nahi hay
phir dard e muhabbat ki dawa kon karay ga

insan hain hum koi farishtay to nahin hain
insan na karain gay tu khatta kon karay ga

parwa nahin lakh zamana karay koshish
hum tum na ho juda-- tu juda kon karay ga

maidan main na sath aaya ye kah kay mullah
teray liye bakhshish ki dua kon ker ga :slight_smile:

jub tu nay na kisi kay liye sochi bhala ki
khud soch bhala tera bhala kon keray ga

tujh say tu gila main nay kiya apna sumjh ker
jub ghair ho koi tu gila kon keray ga

aadab e muhabbat ko baja ye bhee bata dain
deewangi pay meri hansa kon karay ga

ye soch lay kerna hay agar tark e taaluq
seh seh kay jafa tum say wafa kon karay ga

har khizar jo hum ko yunhi daita raha dhooka
phir justuju e aab e baqa kon karay ga

meain chor doon yarroon ko ye na-hum say hoga
chora jo inhain -mujh say dhaga kon keray ga

Re: Jan dainay ka phir farz ada---

Wah!! maza aagya..some of the shers are really cool!! Specially the below ones:

aik bab raqam karna hay sheh-rag kay lahoo say
ye kam bata meray siwa kon keray ga

maidan main na sath aaya ye kah kay mullah
teray liye bakhshish ki dua kon ker ga

Re: Jan dainay ka phir farz ada---

^ aik daad mili wo bhi mindless say...

shukran

Leo