**salama dosto,
kaise mizaaj haiN?
hamaare haldi lazeez [oops! har-dil-azeez :)] saathii 'izzat-maa-aab, aali-janaab, chande aaftaab chande maahtaab, qaabil-e-aadaab, Huzoor-e-waalaa janaab-e-james Bhaand saaHib kii ID par kisii ne kuchh Ghaur o Ghauz farmaayaa? kiya mausoof ke shinaaKhtii naam ke dusre lafz “Bhaand” kaa matlab kisi Khaas o 'aam ko ilm hai? is lafz ke ma’nii hote kia haiN?
aaiye dosto ham zaraa tajassus farmaayeN aur is raaz par se parda faash kareN
faqat Khaak_nashiiN,
_______KKF** ![]()