enter10
1
**
Jamal-e-Yaar ko Dekhoon, Kamal-e-Yaar se Pehlay**
**Main Khushboo ki Trah Mehkoon, Khyal-e-Yaar se Pehlay
**
Karishmay Husn k Sooraj, Sitaray, Phool Zahir hain
**Magr Main kiss Tarf Dekhoon, Misaal-e-Yaar se Pehlay ?
**
Duaon me Meri Yun to Bohat Taaseer Hai Lekin
**Main Khuda se or kya Mangoon, Swaal-e-Yaar se Pehlay ?
**
Hai Aadat Door Rehne ki, Agr wo Saamnay Aaye
Main Shaam-e-Zindagi Chahoon, Visaal-e-Yaar se Pehlay
TlGER
2
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon…
pehlay ayay pehlay payay ki bunyad par :k:
enter10
3
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon…
Main ThoRa late ho gaya hon…
Quaid ki tasweer walay kagaz sy kuch kaam aasaan ho sakta hy…??
TlGER
4
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon.....
Main ThoRa late ho gaya hon...........:(
Quaid ki tasweer walay kagaz sy kuch kaam aasaan ho sakta hy........??:p
sirf kagaz nahi...andar tar ka hona zaroori hai...warna to Eid mubarak walay bhi hoty
jiia
5
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon…
**Hai Aadat Door Rehne ki, Agr wo Saamnay Aaye
**Main Shaam-e-Zindagi Chahoon, Visaal-e-Yaar se Pehlay
****
enter10
6
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon.....
sirf kagaz nahi...andar tar ka hona zaroori hai...warna to Eid mubarak walay bhi hoty
Bhaiya ji taar to 2 number mein bhi hota hy..........?:p
TlGER
7
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon.....
Bhaiya ji taar to 2 number mein bhi hota hy..........?:p
ab to machine par achi tarhan check kar ke lain gay...yehi dekhna tha ke kitna 2 numbri jantay hain app
enter10
8
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon.....
ab to machine par achi tarhan check kar ke lain gay...yehi dekhna tha ke kitna 2 numbri jantay hain app
2 Numbron ko jaanta hon 2 numbri nhi..........
agar 2 numbari aati to ye kaam baghair Kagazon k ho jaata...........:p
TlGER
9
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon…
ye bhi hai :k:
Re: Jamal-e-Yaar ko Dekhoon.....
Hai Aadat Door Rehne ki, Agr wo Saamnay Aaye
**Main Shaam-e-Zindagi Chahoon, Visaal-e-Yaar se Pehlay
siyaapa ee ae.. itni khwahishaat.
**