Khicha jata hai dil, ek anjani si kasish me
yaad aata hai jab koi aisi baarish me…
kaale badal chha jate hai ankho par
naam jab aata hai unka majlish me…
dil kehta hai ashk baha du, dard mitane ko
jab jalta hai dil yaado ki aatish me…
patjad aur khijaN ,lo aayee baarish aur fiza
yuhi umr-a tamam ho jayegi unki khwahish me…
na-jane,rone ke liye ye dil hoga bhi ya nahi
jab chand chhup jayega agli baarish me…