Jal rahi hoon main

**Safar malaal ka hai aur chal rahi hoon main
ghubaar-e-shab ki udaasi mein Dhal rahi hoon main

Ajeeb barf ki baarish badan pe utri hai
k jis ki aag mein chup chaap jal rahi hoon main

Phir ik charaagh jala shaam ki haveli mein
phir eik dard se aakhir sanbhal rahi hoon main

Yeh rakh rakhaao usay jaan’ne naheen de ga!
ke apne aap mein kese pighal rahi hoon main

Yeh ishq sach se juda kaise ho gaya jaanaan?
ab is savaal se baahir nikal rahi hoon main

Bas eik ishq meri zaat par saheefa ho
mere khuda! yeh aqeeda badal rahi hoon mein**

Re: Jal rahi hoon main

Barish ne kar die hain sab raaste geele
qeenchi wali chappal hai aur phisal raha hoon main

aadab arz hai :hat:

Re: Jal rahi hoon main

meri dost phisal gai thi barish me
shop wala kehta :smack:
aj film dekhne jana tha yahin dekh li :cb:

Re: Jal rahi hoon main

:eek: Punjabi film dekhne ja raha tha.. jis main bhensen nahati hui dikhai jati hain

Re: Jal rahi hoon main

pata nahi :omg: per vo to bohat sukhi thi marial c

Re: Jal rahi hoon main

phir shayad chooRiyan main Nargas wala song dekhne ja raha hoga

Re: Jal rahi hoon main

mene ne nargas ka koe song nahi dekha hua :bummer:

Re: Jal rahi hoon main

ghareeb log.. You haven’t seen the famous ‘NaiRay aa zalima way’… waise maine bhi nahin dekha :hehe:

Re: Jal rahi hoon main

:nahi: dekha
saima ka aik dekha hy
udd kothy utto kawan ve

Re: Jal rahi hoon main

aap ko meri amma ki tarah gharelo gaane aur drame pasand hai.. Geo pe ‘Meri Maa’ drama dekh kar farmati hain: zalimon ne masoom bachi ko kitna tanga kia huwa hai :hehe:

Re: Jal rahi hoon main

:blush: maa esi hi hot hein :hug:

mene suna ajkal koe darama araha hy ESHQE MAMNU?
saas ne batay dekho
mene kaha anuty khoda ka khodf karen es umer me kese daramy dekhny lag gai hi :cb:

Re: Jal rahi hoon main

lols.. wo to pehle aata tha ek saal pehle.. ab shayad repeat ho raha ho.. lucha drama tha

Re: Jal rahi hoon main

acha:eek:
vo mujy kehti dekho :eek: bohat acha hy

Re: Jal rahi hoon main

maine nahin dekha per log kehte hain ke thoRa open tha

Re: Jal rahi hoon main

Wo jhonta niklaa :eek: