Garmi-e-hasrate naam se jal jatay hain
hum charagho ki tarhan shaam se jal jatay hain
bach nikaltay hain aagar atish-e-sayyad say hum
shola atish-e-gulfam say jal jatay hain
hudh numai tu nahin shaywa arbab-e-wafa
jin ko jalna hu wo aaram say jal jatay hain
Shama jiss mein jalti hai numaish kay liyay
hum oosii aag may gumnaam say jal jatay hain