Jahan talak bhi ye sehra dikhaai deta hay

Jahan talak bhi ye sehra dikhaai deta hay
meri tarha sey akela dikhaai deta hay

na itni taiz chaley, sar-phiri hawa sey kaho
shajar pe aik hi patta dikhaai deta hay

bura na maneye logoo.n ki aib-joi ka
inhain tu din ka bhi saya dikhaai deta hay

ye aik ab’r ka tukra kahan kahan barsey
tamam dasht hi piyasa dikhaai deta hay

wahee.n pohanch k girae.n gai badbaa.n ab tu
wo door koi jazeera dikhaai deta hay

wo alwida ka manzar, wo bhegti palkain
pas_e ghubaar bhi kiya kiya dikhaai deta hay

meri nigah sey chup kar kahan rahey ga koi
k ab tu sang bhi shisha dikhaai deta hay

simat k reh gai akhir pahaar sey qad bhi
zamee.n sey har koi oncha dikhaai deta hay

khuli hay dill main kisi k badan ki dhoop Irfan
har aik phool sunehra dikhaai deta hay

Re: Jahan talak bhi ye sehra dikhaai deta hay

:k: :lajawab:bohut khub sahi kaha :lajawab: