Meray muqablay mein dil kisi pay haar k dekh
Bagheir meray zra zindagi guzaar k dekh,
Tujhay nhi hai meri shiddaton ka andaza
Kisi bhi simt se mujh ko kabhi pukaar k dekh,
Tu a k mera sab kuch he cheen k lay ja
Mohabbaton ka meri qarz yun utaar k dekh,
Bohat he pyar se dekhay ga aiyna tujh ko
Kisi k wastay khud ko kabhi sanwaar k dekh,
Bisaat-e-dil pay ajab hai shikast-e-zaat ka lutf
Jahan pay jeet attal ho woh chaal haar k dekh..