Jahaan per jaake phir,koi kabhiii...waapus nahin ataaa...

						Chalo uss koh per,abb hum bhi churh jaain...

Jahaan per jaake phir,koi kabhiii…waapus nahin ataaa…

Suna hay,aik nida-e-ajnabi…
Bahoon ko phailae…jo aae uska istaqbaal kerti hay…
Ussay taareekioon may,lay ke aakhir dooob jaati hay…
Yehi wo raasta hay,jis jagah..saaya nahin jaata…
Jahaan per jaake phir,koi kabhi waapus nahin aataaa…
Chalo uss koh per…

Jo sach poocho tu hum tum,zindagee bhur…haartay aae…
Hamesha beyaqeeni kay khatur say…kaanptay aae
Hamesha khof kay peraahanoon say,apnay paiker dhaanputay aae…
Hamesha doosron kay saae may,ik doosray ko chahatay aae…

Bura kya hay agar,uss koh kay…daamun may chup jaain…
Jahaan pur jaa ke phir…koi kabhi…waapus nahin aataaa..
Chalo uss koh per…!!!
**
Zehra Nigah**

Re: Jahaan per jaake phir,koi kabhiii…waapus nahin ataaa…

Re: Jahaan per jaake phir,koi kabhiii...waapus nahin ataaa...

Bura kya hay agar,uss koh kay...daamun may chup jaain...
Jahaan pur jaa ke phir...koi kabhi...waapus nahin aataaa..
Chalo uss koh per....!!!!

Zardari ko bhi waheen bhaij dyn.......

Re: Jahaan per jaake phir,koi kabhiii...waapus nahin ataaa...

her koi apne time pe hi jae ga