Jaga jee Laganey ki dunya nahi hay!!

Jaga jee Laganey ki dunya nahi hay
Ye Ebrat ki Jaa hai tamasha Nahi Hai

Jahan may hai Ebrat key har soo namooney
Magar tujh ko aandha kia raang-o-boo nay

Kabhi ghoor say bhi ye dekha hay tu nay
Jo mamoor they wo mehal ab hain sooney

Milay khak may ehley shaan keysey keysey
Makeen hoogaye La maakan keysey keysey
Huway naam war beynishan keysey
Zameen kha gai noujawan keysey keysey

Zamen key huway loog peywand kia kia
Malook-o-huzoor-o-khudawand kia kia
Dikhaye ga tu chand rooz kia kia
Aajal nay pecharey tan-o-mand kia kia

Ajal nay na kisra hi choora na dara
Isi say sikandar Sa fatheh bhi hara
Har ek choor key kia kia hasrat sidhara
Para reh gaya sab yahi that sara

Tujhey pehley bachpaan ney barsoo khilaya
Jawani nay phir tujh ko majnoo banaya
Burhapey nay phir aakey kia kia sataya
Aajal tera kardey gi bilkul safaya

Yahi tujh ko dhun hay rahoon sab sey bala
Wo zeenat nerali wo fashion nirala
Jeeya karta hay kia younhi marney wala
Tujhey husn-e-zahir nay dhookey may dala

Wo hay ash-o-eshrat ka koi mehal bhi
Jahan taak may kahri hoo aajal bhi
Bas ab is jahalat say tu nikal bhi
ye tarz-e-maaishat ab apna badal bhi

Ye dunya-e-fani hay mehboob tujh ko
Huwi wah kia cheez marghoob tujh ko
Nahi aaqal etni bhi majzoob tujh ko
Samajh leyna ab chahiye khoob tujh ko

Burhaapey say paa kar qayam-e-qaza bhi
Na chonka na cheekha na sambhla zara bhi
Koi teri ghaflat ki hay enteha bhi
Junoon choor kar apney hoosh may aabhi

Jab is bazm say chaldiye dost aksar
Or uthtey chaley jaa rahey hain barabar
Har waqt peesh-e-nazar hay ye manzar
Yahan par tera dil behalta hay kyon kar

Jahan may kaheen shor-e-matam bapa hay
Kaheen fiqr-o-faqa say aah o baka hay
Kaheen shikwa joro makroo dagha hay
Gharz har taraf say yahi bas sada hay

Re: Jaga jee Laganey ki dunya nahi hay!!

Iski naat bhi hai... Was it JJ or some other person or maybe both.