jab yaad tumhari aati hai dil ko bohot tadpati hai
chain kahin kho jata hai or neend bhi udh jati hai
her simt tumhara chehra her ada tumhari lagti hai
her sana mai samati ho her dharkan tumhain bulati hai
tumhari aankhon pay mujhay piaar bohot aata hai
her cheez ruk si jati hai jab nazrain tum milati ho
her pal her ghadi tumhara intezaar rehta hai
jab shaam kareeb aati hai tum yaad bohot aati ho
tari ya ada kahin mujhay maar na dalay
her baat ghuma daiti ho her baat pay sharmati ho
jab tum say judai ki koi baat aa jay
dil khoon kay ansoo rota hai or sans atak si jati hai
jab yaad tumhari aati hai
jab yaad tumhari aati haiā¦