Jab yaar ne rakht E safar baandha kab zabt ka yaara us din tha
Har dard ne dil ko sehlaayaa!! kya haal hamaara us din tha Jab khaab hui us ki aaNkhain jab dhund hua us ka chehraa Har ashk sitaara us shab tha har zakhm angaara us din tha Sab yaaroN ke hote sote - hum kis se gale mil kar rote Kub galiyan apni galiyan thein kab shahr hamaara us din tha Jab tujh se zara ghafil Thehre har yaad ne dil per dastak di Jab lab pe tumhara nam na tha her dukh ne pukaara us din tha Ek tum hi ‘Faraz’ na thay tanha! ab ke to bulaawa jab aaya Ek bheeR lagi thi maqtal mein her dard ka mara us din tha
my fav poem ![]()
Enter10 ye lijiye