~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha kab zabt ka yaara us din tha,
Har dard ne dil ko sehlaya, Kya haal hmara us din tha!!
Jab khwab hui uski ankhein , jab dhund hua uska chehra,
Har ashk sitaara us shab tha ,har zakhm angaara us din tha,
Sab yaaron k hotay sotay, Hum kis se galay mil kr rotay ?
Kab galiyan apni galiyan thin, Kab shehar hmara us din tha,
Jab tujh se ghafil zra thehray, her yad ne dil per dastak di,
Jab lab pay tmhara naam na tha, her dukh ne pukaara us din tha,
Ek tum he Faraz na thay tanha, ab k to bulawa jab aya,
Ek bheer lagi thi maqtal mein , har dard ka maara us din tha,

Ahmed Faraz.

Re: ~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

boht hi khubsoorat :k:

Re: ~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

LP’s favorite :pullhair:

Re: ~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

to apnay baal kyun khench rhay hain :confused:

Re: ~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

LP ne her bait bazi main jeem se yehi sher post kia tha… jab kaha jae fav poetry post karo.. to ye ghazal hazir :nahi:

Re: ~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

laikin LP hain kahan

Re: ~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

net kharab tha aakhri khabren aane tak.. ab koi naya bahana dhoond lo poetry walo :snooty:

Re: ~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

net wala kuch ziada hi market me in hai

Re: ~Jab Yaar Ne Rakht-e-Safar baandha~

bechara faraz :p