Jab wo lauta tha to chehra bi naya laya tha.

Koi tohfa na koi takht_e_Saba laya tha.

Main teri bazm men bas harf_e_ DUA laya tha.

Teri had darja inayaat ky bi hote huwe.

Main tere shehr se kuch ranjj utha laya tha.

Kal k mausam mere hone ki gawaahi den ge.

Jab main aaya tha yahan’ taza hawa laya tha.

Jane kis morr pe bhoola tha wo pehchan meri.

Jab wo lauta tha to chehra bi naya laya tha.

Kasaa_e_umr men khairaat thi kuch saanson ki.

Or kya tujh se bata tera gadaa laya tha.

Ye alag baat k banjar thi zameen_e_sehra

Warna is simt bi saawan to ghata laya tha.

Sar bachaane ki haws men sabi log the"MOHSIN"

Ek main tha jo dastaar bcha laya tha.!

Re: Jab wo lauta tha to chehra bi naya laya tha.

Nice :k:

Re: Jab wo lauta tha to chehra bi naya laya tha.

Lovely sharing.

waise lagta hai star plus walon ne bhi yeh ghazal padhi hui hai, unke dramo main bhi suna hai jab koi hero mar kar dobara lot ke aata hai to uska bhi chehra badla hua hota hai