Main nay dekha tha un dinoon main usay Jab wo khiltay gulaab jaisa tha Us ki palkoon say neend chanti thi Us ka lehja sharaab jaisa tha Us ki zulfoon say bheegti thi ghataa Us ka rukh mahtaab jaisa tha Log parhtay thay khaal-o-khad us kay Wo adab ki kitaab jaisa tha
Bolta tha zubaan khushboo ki Log suntay thay dharkanoon main usay Main nay dekha tha un dinoon main usay
Saari aankhain thi aaiynay us k Saaray chehroon main gulaab tha wo Sab say ghul mil k ajnabi rehna Ik daryaa numaa saraab tha wo Khuaab ye hay k wo haqeeqat tha Ye haqeeqat hay, Koi khuaab tha wo Dil ki dharti pe aasmaan ki tarha Soorat saaya-e-sahaab tha wo
Apni neendain usi ki nazar howe Main nay paya tha ratjagoon main usay Main nay dekha tha un dinoon main usay
Ye magar dair ki kahani hay Ye magar door ka fasaana hay