Wo LAMHAY kitnay suhanay thay
Jab tum bus meray dewanay thay
Ashna ashna sa lagta tha dil say dil ka milaap
Per chehray ek doosray say kuch anjanay thay
Mujh say milnay ki chaha mein…..
Tum tarashtay kiya kuch bahanay thay
Ankhoun mein hi koi paigham detay thay ulfat ka
Uff kis qadar piyaray andaaz aur zalim ankhoun kay mai-hanay thay
Hamaray labou per joh bikhray rehtay thay
Wo sirf tumharay hi naam kay taranay thay
Mohabbat, saaz, rung aur khushiyan thien apni
Gum, judai aur tanhai say hum toh baiganay thay
Phool hi phool bikhray thay rah mein tumhari chah kay
Kiyoun kaantay bhi es mohabbat nay rah mein bichanay thay
Dil behlaya nahi tumsay, dil nazrana diya tha
Muqadar ko phir kiyoun na-manzoor apnay nazranay thay
Hum bewafa her giz nahi thay Ba-Khuda
Es baat kay peechay chupay kuch fasanay thay
Apnay piyar ko shayad nazar lagi thi zamanay ki
Kiyoun yeh Lamhay Ranjish kay akhir hum per hi anay thay