jab teray shehar sey guzarta hoon

**
Kis tarah rookta hoon ashq apnay
kis kadar dil pay jabar karta hoon
aaj bhi kar-zar-i-hasti mein !
jab teray shehar sey guzarta hoon

is qadar bhi naheen mujhay maloom
kis muhalley mein hay makaan tera
koun shi shaag-i-gul pay raqsaan janay
rashq-i-fardoos, ashiyaan tera
janay kin wadiyoon mein utra ha
gheraat-i-husan, qarawan tera
kis sey poochoon ga mein khabar teri
koun batlaye ga nishaan tera
teri ruswaiyoon sey darta hoon
jab teray shehar sey guzarta hoon

haali-i-dil bhi naa kah saqa,garchay
to rahi mudatoon qareeb meray
kuch teri azmatoon ka dar bhi tha
kuch khiyalaat they ajeeb meray
aakhir-i-kar woh gari aayi
bar war hogaye raqeeb meray
to mujhay chor kar chali bhi gayi
ghair! kismat meri,naseeb meray
ab mein kyoun tujh ko yaad karta hoon
jab teray shehar sey guzarta hoon

go zamana teri mohabbat ka
aik bholi hoi kahani ha
teray kochay mein ummar bhar na gaye
sari duniya ki khaak chaani ha
lazat-i-wasal ho key zakham-i-faraq
jo bhi hoo teri mehrbani ha
kis tamana sey tujh ko chaha tha
kis mohabbat sey har mani ha
apni kismat pay naz karta hoon
jab teray shehar sey guzarta hoon

ashq palkoon pay aa nahi saktey
dil mein ha teri abroo ab bhi
tujh sey roshan hai qayinaat meri
teray jalway hain charsoo ab bhi
apnay gham-khana-i-takhial mein
tujh sey hoti hai guftagoo ab bi
tujh ko weranaa-i-tasawar mein!
dekh leta hoon robaro ab bhi
ab bhi mein tujh ko pyaar karta hoon
jab teray shehar sey guzarta hoon

aaj bhi karzar-i-hasti mein
to agar aik bar mil jaye
kisi mahfil mein samna higaye
ya sar-i-rah-guzr mil jaye
ek nazar dekh ley mohabbat sey
aik lamhay ka pyaar mil jaye
aarzoyoon ko chain aagaye
hasratoon ko qarar mil gaye
janay kiya kiya khiyaal karta hoon
jab teray shehar sey guzarta hoon

aaj mein us maqam par hoon jahaan
rasan-o-daar ki bulandi ha
meray ishaar ki litafat main
teray kardar ki bulandi ha
teri majboriyoon ki azmat ha
meray iesaar ki bulandi ha
sab teray dard ki inayaat ha
sab teray pyaar ki bulandi ha
teray gham sey nibah karta hoon
jab teray shehar sey guzarta hoon

tujh sey koi gila naheen mujh ko
main tujhay bewafa naheen kahta
tera milna khayal-o-khawab howa
phir bhi na-aashna naheen kehta
woh jo kehta tha mujh ko aawara
mein usay bhi bura naheen kehta
warna ek be-nawa mohabbat mein
dil key lutnay pay kiya naheen kehta
mein to mushkil sey aah bharta hoon
jab teray shehar sey guzarta hoon

koi puraan-i-haal ho to kahoon
kaisi aandhi chali ha teray baad
din guzara ha kis tarah main nay
raat kaisay dhali ha teray baad
shama-i-umeed sarsar-i-gham mein
kis bhanay jali ha teray baad
jis mein koi makeen na rahtaa hoo
dil woh soni gali ha teray baad
roz jeeta hoon,roz martaa hoon
jab teray shehar sey guzarta hoon

lekin aay sakin-i-hareem-i-khayaal
yaad ha dor-i-kaif-o-kam kay naheen
kiya kabhi teray dil pay guzra hai
meri mehromiyoon ka gham kay naheen
meri barbadiyoon ka sun kar haal
aankh teri hoi ha nam kay ,naheen
aur is karzar-i-hasti mein
phir kabhi mil sakeen gay ham key naheen
dartey dartey sawal kartaa hoon
JAB TERAY SHEHAR SAY GUZARTA HOON**

Very Nice,Thanks for sharing:)

:k:

:k::k:nice oneee