jab se tu ne

**
Jab se tune mujay deewana bana rekha hai
Saang her shaks ne hathon main utha rekha hai

Isskay dil par bhi kaari isshq main guzri hon gee
Naam jis ne bhi muhabat ka saza rekha hai

Pathro aj meray sar pay barastay kyu ho
Main ne tumko bhi kabhi apna khuda rekha hai

Ab meri deed ki dunia bhi tamashayi hai
Tu ne kyaa mujko muhabat main bana rekha hai

Pee ja aayam ki talkhi ko bhi hus ker naasir
Ghum ko peenay main bhi qudrat ne maza rekha hai

Nice Keep it up :)

wwowww zaberdast suman ji :k: