jab sang toota chaand aur tareek safar ho

meri duaaon main gar zara bhi asar ho
tou shab-e-ghum ki kabhi tou saher ho

kiun kar rahe aarzoo tabeer ki mujh ko jab;
aankh khultay hi khuwab bikharnay ka darr ho

kho na jaain kahin rastay hi mujh say
jab sang toota chaand aur tareek safar ho

kammi si mehsoos hotee hay seenay main
kuch na sahi tou ik zakham-e-jigar ho

aansoo’n kay sailaab say bhi darta hay dil
muqadir main apnay jab rait ka ghar ho

dua ban kar dil ki hasrat labon pay aahi gayee
manzil na sahi , rastay main koi meel ka pathar ho

kehtay hain wo zamanay say k ASif badal gaya hay
hum wo hi hain dosto! bas dekhnay wali nazar ho

Re: jab sang toota chaand aur tareek safar ho

Very Nice.... U r Good Poet :)

Re: jab sang toota chaand aur tareek safar ho

aah. thank u sir