jab SanaM ki yaad aie...

jaaanaa
Woh din yaad hai
Jab tum nay kaha tha kay
Main ab ruk nahi sakti
Wada wafa ka pura kar nahi sakti
Tum mujh ko bhula do
Meri tasveer meray khat sab jala do
Meri dua hai tumhain koie aur mil jaie
Tumharay dil ka murghaya hua phool phir say khil jaie
Kisi gulistan ki tarhan shadaab raho
Meri dua hai hamesha khush raho abad raho
Main nay tumhain chaha tha
Magar voh lamha guzar chuka
Ab tum mera guzra hua kal ho
Aur meary aj main koie aur hai
Mera kal bhi haqeqat tha
Aur aaj bhi haqeqat hai
Apnay waday pay sharminda hoon
Main janti hoon kay main tumhari gunaihgar hoon
phir bhi tum say maafi ki talabgar hoon

Us waqt main nay kitna hans kay kaha tha
Sanam tumhara rasta juda mera rasta juda
Hum apni rah chalay tum apni mooj manao
Main tumhain bhula don ga
Tum bhi mujhay bhol jao
Aaj taqdeer ki satam zareefi pay anso bahata hon
Tum to mujhay bhol gaie main bhi bholna chahta hoon
Magar phir bhi jana dil say yehi awaz ati hai
Jahan bhi raho kush raho abad raho
Mujhay bholnay wali sada kamiyab raho

By: :confused: Menu Ki pata

:flower1:

Nice :k::k::k:

Bhai hi nazum main aap male bhi ho or female bhi … kuch roshni dalain
:confused:

aray Mian akal kay dushman
daikho
pehlay voh larki kay alfaz bayan kar raha hai.
phir next paragraph main voh apna reaction batata hai.
ab agar tumhain samajh nahi aie to main kya kar sakta hoon ?

:smiley:
oye arif tum har kisi ki post main angootha chaap daytay ho kya ?

Nice :k: