Cheekh cheekh ke jab roney ko dil chaahe
Main hansta hoon aur phir hansta rehta hoon
Baadal, phool, charaagh, kitaab, aur aaina
Jaane kya kya ussko likhta rehta hoon
Diya jala kar ussko dhanpoon haathon se
Khaali ghar Saayon sey bharta rehta hoon
Khaamosh aur tanhaai ke mausam mein
Khud sey usski baatein karta rehta hoon
Aate jaate lamhon ke manzar mein dosto
Lamha lamha banta, bikharta rehta hoon…