Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

**Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai **
**yaadon ke dareechon main chilman si sirakti hai **

lauban main chingari jaisay koi rakh jai
**yun yaad teri shab bhar seenay main sulagti hai **

yun payar nahin chupta, palkon ke jhukanay se
**aankhon ke lifafon main tehreer chamakti hai **

khush rang parindon ke laut aanay ke din aaye
**bichray huway miltay hain jab baraf pighalti hai **

**shuhrat ki bulandi bhi, pal bhar ka tamasha hai **
**jis daal pe baithay ho, wo toot bhi sakti hai **



{Bashir Badar}

Re: Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

Kinda sad but awsome thanks for sharing Docean :bb:

Re: Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

A bit depressing but lovely stuff :k: … thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

good one :k:

Re: Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

its so sweet

Re: Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

bohot khoob :K:

Re: Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

hye hye

Re: Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

Bohat Khoob :k:

Re: Jab raat ki tanhai dil ban ke dharakti hai

thanks :)