jab neend bhari ho aankhon main, jab raat gaye bela
aur chaar taraf ho sannata, chup chap guzartay hon lamhay
aisay main hawaa ka jhonka bhi patton main jo aahat karta hai
mujh ko tou gumaN yeh hota hai, jaisay who hansa aahista sey
aadhi soi aadhi jaagi main apna dard dabati hoon
aur is aansoo ko chupati hoon, jis ko mitti main milna hai
aankhain mondoon, aankhain kholoon, aankhain mondoon who paas aai
who paas aai aur mujh sey kahay “mujh ko acchi lagti ho”
aadhi soi, aadhi jaago phir main chupkay sey hansi hoon
phir main chupkay sey hansi hoon, dheeray dheeray so jaati hoon