jab naya phool khilta hai tou hum nayaab kahtay hain


jab naya phool khilta hai tou hum nayaab kahtay hain
aap kay muskuranay ki ada ko hum adaab kahtay hain

jab pat jharr kay mausam main hawa chalnay lagti hai
tou woh pattay bhi jhuk kar aapko shaadab kahtay hain

jab kabhi sitaray chand sey baatain kartay hain
tou hum muskuratay huay aapko mahtaab kahtay hain

jab saamnay aap aatay hain tou hum bol hi nahi paatay
bas bay zuban ho kar dil main aap ko aadaab kahtay hain

waisay tou bohat sey phool hain lekin murjha jatay hain
hum tou sirif aap ko hi haqiqi gulab kahtay hain


Masha Allah this is really nice thanks for sharing...

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Masha Allah this is really nice thanks for sharing...
[/QUOTE]

thanks...:)

waah! waaah! simply amazing! Hum jisse laajawaab kehte Hain!

bohut khoob:k::k:
thanks a lot for sharing:hug:

Wah..

Re: jab naya phool khilta hai tou hum nayaab kahtay hain

khob :):k: