is simt chalay ho to bas itna usay kehna
ab koi harf nahi harf-e-tamanna, usay kehna
usi nay yeh kaha tha to main nay yeh kaha tha
umeed pay qaim hai yeh dunya, usay kehna
dunya to kisi haal main jeenay nahi daiti
chahat kabhi hoti nahi ruswa ,usay kehna
us shakhs ko ham nay karb main daikha
aya jisay jeenay ka saleeqa ,usay kehna
woh hijr ho, wasl ho, ranjish ho , gila ho
in say hi to hai ishq ki dunya ,usay kehna
kuch log safar kay liye mozon nahi hotay
kuch rastay kat-tay nahi tanha , usay kehna
zarkhaiz zameenain kabhi banjar nahi hotin
darya hi badal laitay hain rasta , usay kehna
ab dhondta phirta hai us ko zamana
jis shakhs ka tha shehar main charcha, usay kehna
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Bahut khoob Lamhay !

[/QUOTE]