jab naam tera....

jab naam teraa pyaar se likhatii hain ungaliyaaN
merii taraf zamaane kii uthatii hai.n ungaliyaaN

daaman sanam kaa haath mein aayaa thaa ek pal
din raat us ek pal se mahakatii hain ungaliyaaN

jis din se duur ho gaye us din se hii sanam
bas din tumhaare aane ke ginatii hain ungaliyaaN

patthar taraash kar na banaa taaj ek nayaa
fan_kaar kii zamaane mein katatii hain ungaliyaaN

                                                       - Madanpal

:slight_smile:

Re: jab naam tera…

… :rolleyes: :hug:

Nice one …:k:

patthar taraash kar na banaa taaj ek nayaa
fan_kaar kii zamaane mein katatii hain ungaliyaaN

:k:

Re: Re: jab naam tera…

:hehe:

thanks mate :smiley:

thanks koyal jee :blush:

:smiley:

:k:
bas samjhein ke uss tak aap ka message pohanch gayaa :smiley:

:blush:

aap ko lagta hai pahoch jayega ? to phir to pahoch hi jayega :smiley:

nice :k:

beautiful :k:

thanks CC je :flower1:

thankooooooooooo pyaaari bachchi :hug:

pohanchaaaaa diya :D…wo :blush: ho rahi hai :rolleyes:

Re: jab naam tera....

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *
jab naam teraa pyaar se likhatii hain ungaliyaaN
merii taraf zamaane kii uthatii hai.n ungaliyaaN

[/QUOTE]

Bohut khoob daagh jee.Ajj kal app bhi poetry mai agaye.:D welcome.Haan jee toh ajj kal ye itna poetic mood kun hai.:p

:o really :eek: :eek:

good good
:smiley:

Re: Re: jab naam tera....

[QUOTE]
*Originally posted by Muslim_Queen: *

Bohut khoob daagh jee.Ajj kal app bhi poetry mai agaye.:D welcome.Haan jee toh ajj kal ye itna poetic mood kun hai.:p
[/QUOTE]

jee bas socha kaafi dino se bas cafe mein hi hai so gave a try to poetry as well...and people here are too good :)

many thanks for your appreciation