jab kisi ko manana perta hai
khud say bahir to aana perta hai
aik tum hi nazar nahin atay
rastay main zamana perta hai
kia kahain kis tarhan hum aatay hain
us gali say jab aana perta hai
kia kahain kaisay muskuratain hain
jab kabhi muskurana perta hai
too nahin to gham e jahan hi sahi
dil kahin to lagana perta hai
jo mila hi nahin kabhi hum ko
qarz wo bhi chukana perta hai
muntazir ho na ho koi muskaan
lot ker ghar to jana perta hai