**jab kisi fard kay armaan kuchlay jatay hain
pursa dainay ko farishtay bhi uttar atay hain
tabhaa hotee hoee daikheen hain bastiyaan humnay
kamal yeh hai kay hum pir bhi muskuratay hain
roshni rehti hai mehlaat mai baandi ban kar
andheray doost hain voh saath tu nibhatay hain
jabajaa dekhay umeedon kay bay-kafan lashay
hum unkay paas sai chup chaap ghuzar jatay hain
kitna dartay hain tanhaee kai azaab sai log
bai-khatar yaadon kay jangal mai chalay jatay hain
mairee aankhon mai namee dekh kai bechain ho tum
mai kya karon mujhay kuch log yaad atay hain**