*jab kabhi teraa naam lete hain
dil se ham intaqaam lete hain
meri barbaadiyon ke afsaane
mere yaaron kaa naam lete hain
bas yahi ek jurm hai apnaa
ham muhabbat se kaam lete hain
har qadam par gire par seekhaa
kaise giraton ko thaam lete hain
ham bhatak kar junoon kee raahon main
aql se intaqaam lete hain*
**
~~~~
Sardar Anjum
*~~~~
*
Re: jab kabhi teraa naam lete hain
bhai aik se kaam nahi chala ?
Re: jab kabhi teraa naam lete hain
Arre humne to das ki bajaye do hi post ki hain.
Yeh bhi band kar doon kya:D
Re: jab kabhi teraa naam lete hain
no, keep it up - ur stuff is great!
Re: jab kabhi teraa naam lete hain
Thanks a lot.
lekin GupShup main
'Shayar Rights Ka Violation' bhi hota hai
Logon ne hamaare baare main kya kya likha aur kya kya sochha hamen sab maaloom hai:)