ye sirf ghazal hi nahi…meray dil ki awaz bhi hai jisay bohat khobsorat alfaaz mil gay hain.. Umeed karta hoon sahib-e-dil zaroor pasand karain gay.
Jab kabhi tera naam letay hain,
Dil say hum inteqaam letay hain,
Meri barbadiyon kay afsaanay,
Meray yaaron kay naam letay hain !
Bas yahi ek jurm hai apna,
Hum mohabbat say kaam letay hain !
Har kadam par giray magar seekha
Kaisay girton ko tham letay hain !
Hum bhatak kar junoo ki rahon mein,
Akl say inteqaam letay hain !