**tumheN jab kabhi milein fursatein meray dil se bojh utaar do
mai bohot dinon se udaas hoo mujhe koi shaam udhaar do
mujhe apney roop ki dhoop do k chamak sakein meray khaal-o-khad
mujhe apnay rang mein rang do meray saarey rang utaar do
kissi aur ko meray haal se na koi gharaz hai na wasta
mai bikhar gaya hoo samait lo mai bigar gaya hoo sanwaar do.
mirii wehshaton ko barha diya hai judayion k azaab nay
meray dil pay haath rakho zara meri dharkanon ko qarar do
tumhe subha kaisi lagi kaho meri khawahishon kay diyaar ki
jo bhali lagi to yahin raho, ise chahtoN se nikhaar do
wahan ghar mein kon hai muntazir kise fikr dair sawair ki
bari mukhtasir see yeah raat hai ise chandni mein guzaar do
koi baat kerni hai chand se kissi shaakhsaar ki oat mein
mujhe raastey mein yahin kahin kissi kanj-e-gul mein utaar do
**
**
bahooot Khoob Ghazal hai. u have a good taste. nice sharing N thanks. kuchh typos haiN jinheN maiN correct kar rahaa huN in red font.**