JAB HUM NAHI HONGEY…
bohut pachtao gay tum
jab hum nahin hon gay
ye wadian,ye perbatain,ye hawayen
ye fizayen,ye preetam ka saawan
rahain gay isi tarah
zindagi main tumhari
“PER HUM NAHIN HON GAY”
hum tum se ab kuch na poochain gay
ehtisaab mager karain gay tumhara
wo nizaray,wo lamhat,wo pal
jo guzaray hum nay aik saath
dhoondo gay phir tum humain
raton ki masti main,tanhai main
mailay main,jangle main,basti main
yaadon main akailay main
milay gi tumhain jhankar wahan
humari hunsi ki,shokhi ki
baton ki,wasal ki raaton ki
“PER HUM NAHIN HON GAY”