****** Har Shaks Hi Jesay Rukh-e-Baatil Say Mila Ho..
Aik Bhi Nahi Aisa Jo Hamain Dil Say Mila Ho..
Phir Raah Say, Rehbar Say, Musaafat Say Gila Kya..
Jab Hukm Palat Jaanay Ka Manzil Say Mila Ho..
Andaaz-e-Mulaaqat Bhi Is Bar Juda Tha..
Jesay Kay Unhain Waqt Bhi Mushkil Say Mila Ho..
Gham Hai To Amaanat Hi Magar Yaad Nahi Hai..
Shayad Kay Hamain Aapki Mehfil Say Mila Ho..******
Re: Jab Hukm Palat Jaanay Ka Manzil Say Mila Ho
Nice..
******Andaaz-e-Mulaaqat Bhi Is Bar Juda Tha..
Jesay Kay Unhain Waqt Bhi Mushkil Say Mila Ho..
Aadha waqt to traffic jam main kat gaya hoga****** ******:)
jiia
3
Re: Jab Hukm Palat Jaanay Ka Manzil Say Mila Ho
koe milne aaey to sochna chahiay k
VO KITNI MUSHKAL SE TIME NILKAL K AAYA HI:hoonh:
Re: Jab Hukm Palat Jaanay Ka Manzil Say Mila Ho
Beautiful...
Sannan
5
Re: Jab Hukm Palat Jaanay Ka Manzil Say Mila Ho
nice sharing