aaj ke daur me ae dost ye manzar kyu hai
jakhm har sar pe, har ek haat me paththar kyu hai
jab haqikat hai ke, har jarray me tu rahta hai
phir jami par kahin maszid kahi mandir kyu hai
apna anjaam to maloom hai sab ko phir bhi
apni nazron me har insaan sikandar kyu hai
zindagi jeenay ke qabil hi nahi ab “faakir”
verna har aankh me ashkon ka samandar kyu hai
Gazal by : Sudershan Fakir