Jab Dekhay Ga Mera Khali Maan

Her Sans Gawahi Deta Hay
Mera Jewan Sundar Kerday Ga
Jab Dekhay Ga Mera Khali Maan
Woh Rang-e-Mohabat Bhar Day Ga
Woh Mera Sajan, Woh Mera Piya
Bin Jiskay Mera Na Lagay Jiya
Jiwan Ki Andheri Ratoon Main
Woh Jesay Ho Koi Jalta Diya
Muhje Us Ki Panah Main Rehna Hay
Joh Hansta Bhasta Kerday Ga
Jis Ghar Ki Kachi Diwarain Thi
Aur Lakri Ka Aik Zeena Tha
Agna Main Matti Ki Khushboo
Woh Sawan Rut Ka Mahina Tha
Mazi Kay Sundar Rangoon Ka
Nainoon Ko Her Manzer Day Ga
Her Sans Gawahi Deta Hay
Mera Sundar Kerday Ga
Jab Dekhay Ga Mera Khali Maan
Woh Rang-e-Mohabat Bhar Day Ga