Hello everyone,
Hope you enjoy this poem. You have probably read it before, but it is just a small effort from me.
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif
Hum jaise tanha logon ka,
Ab rona kya, muskaana kya
Jab chaahne waala koi nahi,
Phir jeena kya mar jaana kya
Sau* rang mein jis ko socha tha,
Sau roop mein jis ko chaaha tha
Woh jaan-e-ghazal to rooth gayi,
Ab us ka haal sunana kya
Jab chaahne waala koi nahi,
Phir jeena kya mar jaana kya
Awaaz kisi ko den lekin,
Ek naam tumhaara honton par
Har shakl se ubhro tum hi tum,
Yoon khud ko magar behlaana kya
Jab chaahne waala koi nahi,
Phir jeena kya mar jaana kya
Raaton ka safar hai un ke liye,
Aur din mein tamanna raaton ki
Jab paon** mein raaste kho jaayen,
Phir rukna kya ghar jaana kya
Jab chaahne waala koi nahi,
Phir jeena kya mar jaana kya…?
*Sau - 100
** paon - feet
Best wishes