jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

meray ham dam mujhay tum nay bhala kaisay bhulaya tha?
koi tadbeer,koi gur , koi nuskha , hamein b tou anayat ho
k mein tou jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun
meri sansein badan kay saray reshoon ki tanaboon say nikalnay ko machaltee hean
azziyat ki sayah chadar
wajood zindagi k nikhray rangoon ki baharein dhanp laitee hun
judai ka tasavvor dil ki dewaroon ko apnay nakhnoon say chaid daita hai
lahoo rotee nigahein iltajaoon say bhara kashkool lagtee hean
badan ujray huey markad ka ik toota hua kutba dekhai denay lagta hai
ajab badrang vairani,eri hastee ki ronak,khoobroi,khushmizaaji k
satoon’oon say lipat kar baith jatee hai
meray hamdam mein tum ko bhulna chahun tou phir
muj say havain rooth jatee hain
barastee barishein muj say mohabbat k talluq k marasim toor detee hean
wafain ajnabee ankhoon say taktee hean
haseen mausam meray dil ki gali ka rasta hi bhool jatay hean
meray tan p sajay sab rang, apnay aap ko kho kar achanak bhujnay lagtay hean
mujhay viraan kartay hean
meray ham dam mujhay tum nay bhala kaisay bhulaya tha
k mein tou jab b aisa sochna aaghaz kartee hun
meri sansein ukhartee hean
ahsaas
kabi kabi bus yunhi tanha bewajah bemasarf baithay
halki naki ki berang chadar
benai k pass k saray ujlay manzar dhundlatee hai
dil mein ik be naam azziyat
daar say bichree koonj ki manind kur latee hai
rooh par hakim dard “vachora”
ik bharpoor c angrai say
jaag uthta hai
tou iss lamhay kyun lagta hai
jaisay woh b yunhi tanha , bewajah , be masrf baitha
meri yaad mein roya hoga

3 Likes

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

:) niceeeeeeee

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

nice :k:

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

Sensational..

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

nice

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

Beautifull sharing :k:

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

thanx eve 1

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

hae allah etne lembee poem :eek:

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

bhago tum yeh bachoon k parnay ki nai hai :chai:

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

lambi ho ya choti tum ko kon si samjh ani hai :chai:

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

ap piar se semgah to shaid ajai:hehe:

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

Excellent Bheegiyaad..:k:

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

thanx aryaan

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

Buhat Aala Bheegi Ji :~)

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

^:aq:

P.S thanx

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

hehe na karo :naraz:

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

wonderful!!!

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

long but nice :)

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

Nice:) Purr App Aaisa Soochnay Ka Agaz Hee Na Kiya Karooo.........Na Hoo Ga Baans Na Bajay Key Bansuri.........

Re: jab bhi aisa sochna aagaaz kartee hun

beautiful
zabardast
buhat khob bheegi