Jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad

**jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad
aur baD jaatii hai afsuurdaa-dilii shaam ke baad **

**ab iraadon pe bharosaa hai na taubaa pe yakiin
mujh ko le jaaye kahaaN tashnaa_labii shaam ke baad **

**yuuN to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa
dil ko mahasuus huii terii kamii shaam ke baad **

**yuuN to kuchh shaam se pahale bhii udaasii thii ‘Adeeb’
ab to kuchh aur baDii dil kii lagii shaam ke baad
**

Re: Jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad

:k:

Thanx Ali

Re: Jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad

thats goooodddd

Re: Jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad

very nice

Re: Jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad

Nice one :flower1:

Re: Jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad

NIce One :-)

Re: Jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad

Pasand karney ka bohat shukriya aap sub ka :)