Jaate jaate woh mujhe achii nishaani de gaya

Jaate jaate woh mujhe achee nishaani de gaya
umar bhar dohraaungaa aisee kahani dey gaya

uss sey mein kuch paa sakuun aisee kahaan ummeed thee
Ghum bhee woh shaayad baraa-e-meharabaani dey gaya

sub hawayen ley gaya mere sumandar kee koi
aur mujh ko ek karati baadabaani dey gaya

** Khair main payasa raha par us ne itanaa to kiyaa
meri palakon kee kataaron ko woh paani dey gayaa**

Re: Jaate jaate woh mujhe achii nishaani de gaya

Khair main payasa raha par us ne itanaa to kiyaa
meri palakon kee kataaron ko woh paani dey gayaa


kitna acha tha nice nishani ankhin tu saaf rahin ghi na :)

Re: Jaate jaate woh mujhe achii nishaani de gaya

Nice.. :)

Re: Jaate jaate woh mujhe achii nishaani de gaya

thanks for sharing this nazm Ehsan Uncle.

Dushwari

Re: Jaate jaate woh mujhe achii nishaani de gaya

Nice :)